Tu tow hai sooraj !

Tu to hai sooraj
kab se apne ko ek kiran samajh baithe

Tu to hai khula aasmaan
kab se apne aap ko baadal samajh baithe

Tu to hai gehra samudra
kab se apne aap ko lehar samajh baithe

Tu to hai chandrama ki sheetal chandni
kab se apne aapko chandrama ka daag samajh baithe

Tu to hai ek aisa vriksha
jiskee chhao mein hai lakhon ko vishram lena

Tu to hai ek aisee bijlee
jise ghane andhero ko roshan kar jana hai

Tu ruk mat, tujhe aage badhte jana hai
jo hua woh achha hua, jo nahin hua woh bhi achhe ke liye hua

Jeevan ke man-rupi tufano se darna nahin
vichar aur bhav to musafir hai, aate jate rahenge
tu apne pakke iradon se chukna nahi
teri bhakti hi teri shakti hai

Jeevan baahein failayein tera intezar kar rahi hai
tu ruk mat, tujhe aage badhte jana hai!

Comments

Popular posts from this blog

Do not let the child grow

The trip to Madhya Pradesh by road

Time with Kids