Tu tow hai sooraj !
Tu to hai sooraj kab se apne ko ek kiran samajh baithe Tu to hai khula aasmaan kab se apne aap ko baadal samajh baithe Tu to hai gehra samudra kab se apne aap ko lehar samajh baithe Tu to hai chandrama ki sheetal chandni kab se apne aapko chandrama ka daag samajh baithe Tu to hai ek aisa vriksha jiskee chhao mein hai lakhon ko vishram lena Tu to hai ek aisee bijlee jise ghane andhero ko roshan kar jana hai Tu ruk mat, tujhe aage badhte jana hai jo hua woh achha hua, jo nahin hua woh bhi achhe ke liye hua Jeevan ke man-rupi tufano se darna nahin vichar aur bhav to musafir hai, aate jate rahenge tu apne pakke iradon se chukna nahi teri bhakti hi teri shakti hai Jeevan baahein failayein tera intezar kar rahi hai tu ruk mat, tujhe aage badhte jana hai!